Wo jamana gaya, jab sirf mahilaye acche se taiyar hoti thi. Aajkal ke jamane mai
purush bhi saj savarkar rehna pasand karte hai. Aur sir par agar baal na ho to ye
sab bate ek abhishap jaisa lagne lagta hai. Purusho mai adhikatar choti umra mai
hi baal jhadna aarambh ho jate hai. Jyadatar yeh samasya 25 se 35 saal ke umra
ke purusho mai dekhne ko mil rahi hai.
Darahsal aajkal ki bahgdod bhari jindagi, kaam ka jyada pressure aur baalo ki dekhbal
naa karna hi purusho mai ganjepan ka ek karan ban gaya hai. Aksar purush yeh bhul jate
hai ki baalo ko thik usi tarah care ki jarurat padti hai, jaise ki sharir ko. Agar aapke baal
bhi tezi se gir rahe hai, aur aapke sir par bhi ganjapan zhalak reha hai, to niche diye
gaye Hair Care Tips for Men in Hindi ko jarur apnaye.
Inn Tariko Se Kare Apne Baalo Ki Dekhbal
Jab bhi aapko lage ki aapke baal bahut jyada jhadene lage. To sochne mai bilkul bhi time na le aur turant hi apne baalo ko chota karwa le. Chote baalo ko gile se sukhne mai bilkul bhi der nahi lagti. Baalo ko chota rakhne se yeh bina kisi nuksan ke stylish lagenge.
Bahut se log apne gile baalo mai hi khanghi fair lete hai. Jabki gile baalo mai khanghi
fairna sahi nahi hoti hai. Tab aapke baal najuk avastha mai hote hai, aise mai na keval
aapke baalo ko balki sir ki twacha ko bhi nuksan pahuchta hai. Isliye gile baalo ko
ungaliyo se hi thik kar le, aur jab yeh such jaye inpar kanghi chalani chahiye.
apne baalo par color karna bhi sahi nahi hoga. Iss tarah ke utpadno mai rasayan mile
hote hai. Jo baalo ko dhire dhire kharab kar dete hai. Aise product baalo ko dubara
ugne mai badha utpan karte hai.
Herbal Utpado Ka Kare Prayog/ Herbal ka kare istemaal
Agar aap bina kisi nuksan ke apne baal zhadna rokana chahte hai to aapko aayurvedik chizo ka istemal karna suru kar dena chahiye.
Majbud aur ghane baalo ke liye aayurved mai Bhringraj ka kaafi mahatva mana gaya hai
Yeh na keval ganjapan dur karta hai balki samay se pehle baalo ko safed bhi nahi hone deta.
Amla:
Jab baalo ki dekhbal ki baat ho rahi aur amla ka naam na aaye aisa bilkul bhi nahi ho
sakta. Amla mai bharpur matra mai antioxidant aur vitamin C paya jata hai, jo ki baal
badhane mai madad karta hai. Amla ko hina aur dahi mai milkar pack banaye aur baalo
par lagaye.
dur hoti hai. Lekin yeh baat bahut kam log jante honge ki iske istemal se baal ghane
bhi hote hai. Neem ka powder taiyar kar le, isse dahi ya nariyal tel mai milakar baalo
ki jad mai massage kare.
Rittha ke istemal se bhi baalo ko kala aur ghana banaye rakhne mai madad milti hai.
Rittha powder tel mai milakar, sir ki massage karne se baal jhadna ruk sakte hai.
Methi (Fenugreek) ko puri rat bhigo de aur subah usse gadi dahi mai milakar apne
baalo aur jado mai lagaye. Uske bad baalo ko dho le. Isse rusi aur sir ki twacha mai
hogi who dur ho jayegi. Methi mai nikotinik acid aur protein paya jata hai, jo baalo ki
jado ko poshan pahuchata hai aur baalo ki growth bhi badhata hai. Iske prayog se
sukhe aur damage baal bhi thik ho jate hai.
Hare dhaniye ka lep jis sthan par baal ud gaye hai, waha karne se baal ugne lagte hai.
Har ghar mai aasani se milne wale pyaj bhi baalo ke ugne ke liye ek prabhavi nushko
ki tarah kaam karta hai. Pyaj katkar do bhag kare. Aadhe pyaj ko ganj wale par
5 minute roj ragde. Fir shehad lagaye, baal aane lagenge.
Bal Girne Ke Karan-Yeh Bhi Jane
Bal zhadne (Hair Fall) ke karan to aapko pata chal gaye, lekin aapko yeh bhi to
pata hona chahiye ki iske piche ka karan kya hai. Baalo ka jhadna ya girna ek
ghmbhir samsya hai par purusho mai baal jhadana ek aam samsya ki tarah dekha
jata hai. Isse Androgenic Alopecia kehte hai. Yeh jyadar anuvanshik karno se hota
hai. Yeh pidhi dar pidhi parivaro mai chalta hai. Purusho ke 40 varsh ki aayu ke aaspas
baal jhadna suru ho jata hai. Lekin kai logo mai yeh samsya isse pehle bhi suru ho jati
hai. Iske alawa bal jhadne ya fir ganjepan ke kai karan hai jaise – baalo ki jado ka kamjor
ho jana, pituitary gland mai harmones ki kami, sir par rusi ki adhikta, baalo ki jado mai
poshak tatvo ki kami, adhik mansik mehnat, sir mai badhti garmi, lagatar sir dard rehne
se raktsanchar mai kami, bhojan ka sahi dhang se naa pachana, sir ke snayu mai pran
pravah ki kami aadi
0 comments:
Post a Comment