White Hair Treatment | |||
White hair treatment: now a days white hair is a big and common problem in young age generation. In this page you will find and read homemade remedies for white hair, tips, safed balon ka ilaj, natural treatment for white hair at young age in Urdu and Hindi.
| |||
Fitri amal ke natijey mein barhne ke sath sath balon ki qudrati rangat khatam hone ka rujhan tamam mardo aur aurton mein paya jata hai chunancha bari umer mein aa kar bal safed ho jana aik qudrati amer hai lekin waqt se pehly bal safed ho jana ek tashwesh-nak baat hoti hai. safed bal hon tou no-jawan khawaten wa hazrat bhi borhy nazer aane lagte hein. Kuch log aesi sorat mein khase harasa ho jate hein. Jawani mein borha nazer aana ksi ko bhi acha nahi lagta.Qabal az waqt burhape ke 2 bady asbab naqis ghizain aur zehni pareshaniyan hein. Naqis ghezain hon tou kuch vitamins iron, copper aur iodine ki kami ho jati hai. yeh kami jawani ke dor mein balon ko masail ka shikar kar deti hai. zehni dabao aur pareshaniyan sir ki jild mein gher mamoli tanao peda kar deti hai. es kefiyat mein balon ki sehat ke liye darkar zarori ghezaiyat ki tarsil jism ke es hissy ko ruk jati hai. isi tarha iztarab, khouf, hassad aru na-kamiyon ka ahsas bhi balon per manfi asrat dalte hein. Yeh balon ki jadon mein mojod zarkhez made ko khushk kar dete hein. Chunancha bal safed aur be-ronaq ho jate hein. Balon ko qabal-az-waqt safed karne wale degar awamil mein sir ki jild ka gard aur mail kuchail se aloda rehna bhi hai. Sir ki gandagi jild ke masamo ko band kar deti hai. balon ko garam pani se dhona, dhone ke bad electric dryr ka estamal, balon ke safed hone ke aaghaz he mein masnoi rango aur khizab kab ka estamal, mukhtalif amraz jin mein purana nazla, khon ki kami, purani qabz, factory mein tayar hone wale oil jinhein aam tour per tezab se saf kiya jata hai aur tezab (Acid) tail (oil) mein reh jate hein yeh sab awamil balon ko waqt se pehly safed kar dete hein. Morosi asrat bhi es bimari ko farogh dene mein numaya kirdar ada karte hein. Natural Treatment for White Hair (Sufaid Balon ka Fitri Elaj):• Balon ko qabal-az-waqt safed hone se rokne aur in ka elaj karne mein mutadad nuskhe moaser hote hien. In mein se aik Amla ka estamal hai jo balon ke liye tonic ki hesiyat rakhta hai es ka estamal balon ko Ghana karne aur in ka qudrati rang bahal karne ke liye sadiyon se bar-e-sagher mein raej hai. Amla ke phal ko kat kar khushk kar liya jae. Zyada behtar yahi hota hai ke esy sae mein sokhne diya jae. Dhop mein sokhane se es ke asrat kamzor ho jate hein. Amla ke khushk tukdon ko nariyal ke tail mein es waqt tak obala jae jab tak tamam mawad khakstar na ho jae. Tail ka rang siyahi mael ho jae ga. Yeh tail balon ko safed hone se rokne ke liye nehayat moaser rehta hai.• Ager Amla ke khushk tukdon ko rat bhar pani mein bhigoe rakhein tou yeh pani bhi balon ki nasho-numa ke liye muffed rehta hai. balon ko dhone ke bad akhri bar es pani se khangala jata hai. taza amla ka juice 1 chay ka chamcha lein. Es mein 1 chay ka chamcha badam-e-roghan shamil kar lein ya pher chand qatre lemon ka rus mila lein aur rozana raat ko sir pe es ka massage karein tou baal safed nahi hote aur ager safed ho jaein tou in ki qudrati rangat bahal ho jati hai. lekin yad rahe yeh tamam nuskhey qabal-az-waqt safed ho jane wale balon ke liye hein. Ager umer ke mutabiq balon mein safedi aa jae tou koi faeda nahi hota. • Amarnath yani cholai ka saag bhi balon ke mutadad masael ka hal hai. es sabzi ke patton ka taza juice balon mein lagane se in ki qudrati siyah rangat bahal karne mein madad deti hai balon ki qabal-az-waqt safedi se tahafuz bhi es juice ke istaml se moaser aa jata hai. es ke estamal se balon ki nasho-numa bhi bahal rehti hai aur yeh khobsurat reshmi ho jate hein. • Kari Patton ka khula estamal bhi balon ke liye muffed qarar diya jata hai. yeh balon ko qabal as waqt safed hone se bachate hein. Balon ki nai jadein mazbot ho jati hein aur qudrati rangat ghalib aa jati hein. Kari patton ko chatni ki sorat mein bhi estamal kiya ja sakta hai. aur lassi mein nichoda bhi ja sakta hai. ager in patton ko nariyal ke tail mein obala jae tou aik zaberdast taser rakhne wala hair tonic ban jata hai. es tail ka estamal balon ki afzaesh ko tehrek deta hai. • Turai ko nariyal ke tail mein obala jae tou bhi yeh qabal-az-waqt safed ho jane wale balon ka yaqini elaj ban jata hai. es sabzi ke tukdy say mein khushk kiye jain aur pher in tukdon ko nariyal ke tail mein bhigo kar 3, 4 din tak para rehne diya jae. Tesre ya chotey din es tail (oil) ko obala jae. Es waqt tak obalte rahein jab tak tukdey jal kar siyah na ho jaein. Ab esy thanda hone per chalni kar lein. Yeh tail balon ke liye nehayat kar-amad sabit hota hai. jadon ko mazbot aur qudrati siyah rangat bahal karta hai. | |||
Warning : This information is just for information and knowledge of medical care. Please contact your doctor for treatment |
0 comments:
Post a Comment