Tomato (Tamatar)
Tomato(tamatar) is a very delicious vegetable. It is early originated in the area of Peru and Ecuador in South America. In 16th Century the Hernan Cortes introduced the tomato in Europe. The people of Europe said that, it is a loveapple. Tomato is very useful for health and skin. It has Calcium, Phosphorus, Vitamin C and Carbohydrates. Tomato is a juicy vegetable. One of the best juice of Tomatoes in whole World. In this page you will see the information, qualities and tips about Tomato Benefits In Urdu ( tamatar ke fayde) and Roman Hindi.
Tomato In Urdu
ALLAH PAK ne duniya mein koi chez bhi be maeyne paida nahi ki. Aik choti si nazar aane wali sabzi tamatar (Tomato ) apne andar kitnni afadiyat chupae hue hai. Is baat ka andaza lagana mushkil hai. Tomatoes ka shumar duniya ke mutadid areas mein aeham tareen sabziyon mein hota hai, yeh thore arsey tak mehfooz rehne wali sabzi hai. Jis ka pauda sara saal phal deta hai. Is roots chapti, gehri aur reshadar hoti hain. Stem mazboot, roeyndaar aur leafs bezwi hote hain. Phal gol ya bezwi mulaiym, gudaz aur surkh rang ka hota hai. Zard ya gulabi rang mein bhi paya jata hai. Seeds mutadid chapte aur kisi had tak khamdar hote hain. Ibteda mein tamatar (Tomatoes) aik chote, moti jild wale jhurriyon bhare phal par mushtamil sabzi thi, is ke phal ki shakal beqaiyda aur jasamat choti thi. Lekin science procedure apnate hue mutadid tajurbat ke bad ab is ki shakal aur jisamat badal chuki hai. Ab is ki senkaron qismen hain. Is mein ziyada tar mulaiym, gol aur kam o besh sakht godey wale hain.
History of Tomatoes
Tomatoes (tamatar) ka ibtedai watan America mein Peru aur Ecuador ka area hai, wahan se 16th Century ke aaghaz mein Hernan Cortes use Europe mein lae, lekin kae barson tak yeh pauda Gardens mein mehaz aaraiyshi maqasid ke liye boya jata raha hai. Europe wale ise Loveapple kehte the. 1860 mein yeh baat manzar e aam par aai ke Tomato deegar vegetables ki tarah aik mufeed ghiza hai. Is daryaft ke bad bohat jald yeh pori duniya mein maqbool ho gaya. Ab yeh Malaysia, Indonesia, Philippine, Wasti Mashraqi aur maghrabi Africa, junobi America, jazaiyr alhind aur pore mntaqa haraa mein kasht kiya jata hai. Duniya bahr mein kasrat se ugaai jane wali sabziyon mein ise dosra number hasil hai. Jab ke pehla number Potatoes ko diya jata hai.
Tomato Benefits In Urdu
Tamatar Ke Fayde
Mehaz 150 baras pehle Tomato ( tamatar) ko zehrili chez samjha jata tha. Ise bohat se log tezabiyat peyda karne wali ghiza qarar dete the. In ke khayal tamatar ke fayde bohat hote hain tomato khane se khoon aur jism ki bafton mein tezabiyat ka izafa ho jata hai. Ghizai chemistry mein is ke haliya tajurbat ne tamam tar manfi tasawurat ko batil qarar diya hai aur in mein aesi ghizaiyat aur sehatmand khobiyan paai jati hain jin ka koi muqabla nahi kar sakta. Tomato mein Calcium, Phosphorus, Vitamin C aur Carbohydrates wafer miqdar mein paey jate hain.
100 gram tomato (tamatar) mein 9 % ratobat, 0.9 Protein, 0.2 Fats, 0.5 maadni ajzaa, 0.8 resha aur 3.4 Carbohydrates paey jate hain. Maadni aur hiyatini ajzaa mein 48 mili gram, calcium 20 mili gram, phosphorus 0.N mili gram, iron 271 mili gram, Vitamin C aur kuch miqdar mein Vitamin B complex shamil hote hain. Tomatoes mein paey jane wale carbohydrates pehle hazam shuda shakal ki soorat mein hote hain. Bohat mamooli miqdar mein aisa nashasta hota hai. Jo pakne ke marhaley ein pohanch kar sugar mein tabdeel ho jata hai. Tomatoes buntadi taur par khaad wali sabzi yani alkaline vegetable hai. Is ka tursh zaiyqa darasal sleek acid ki wajah se hota hai, jo is mein 0.5 paya jata hai. Tomatoes mein 0.52 se 1.81 % tak Citric acid aur oxalic acid mehaz mamooli miqdar mein paya jata hai. Is mein paey jane wale teyzaab Sodium aur Potassium ke sath mil kar Sodium ya Potassium acid, citrate air oxalate tashkeel dete hain. Tomatoes ko khoon ki tezabiyat aur is se mutalliqa amraaz ke ilaaj mein muassir qarar diya jata hai.
Ilm adwiya mein tamatar (tomato) aik taqatwar maalij qarar diya jata hai. Yeh marz ke asraat door karta hai aur jism ki qudrati raste kholta hai. Yeh Kidneys ke liye qudrati mohrik hai, jo intehai narmi se asar andaaz hota hai. Is ke istemal se Kidneys se zehrilapan khatam ho jata hai, jo mukhtalif amraaz ka sabab banta hai aur hamare jism ke nizam ko aalodah karta hai. Hamesha ise paki hui shakal mein istemal mein lana chahiye. Is ke pakne ke amal ke sath sath is mein Vitamin C ki miqdar mein bhi izafa ho jata hai. Duniya mein sab se ziyada piye jane wale juices mein tomatoes ka juice ko pehla maqam hasil hai. Taza tomatoes ka juice intehai mufeed aur alkaline ki taseer bakhshne wala mashroob hai.
Is ke godey ko face par mal kar aadhe ghante ke baad garam pani se dho len, to kuch dinon ke istemaal ke bad rangat nikhar jati hai. Aur keel mahasey tezi se tehleel ho jate hai. Diabetes : Sugar patient ke liye Tomato bohat achi ghiza hai, kyun ke is mein Carbohydrates bohat kam miqdar mein paey jate hain. Atbaa ka kehna hai ke Sugar patients ke urine mein sugar control karne ke liye tamatar (Tomatoes) bohat muassir ilaaj hai. Asthma Problem : Fresh tomatoes ka juice, shehad aur chutki bhar choti ilaeychi ka safoof mila kar rozana raat ko bistar par ajne se pehle aur garlic ke chile hue 3 piece khan eke bad peena TB aur Lungs ki deegar bimariyon ka bohat acha ilaaj hai. Yeh jism mein quwwat e mudafiyat barhata hai aur tapdaq mein adwiyat keg her muaasir hone ko khatam karta hai. Asthma mein yeh saans ki naliyon mein tezabiyat ki sharah 5.5 ya is se bhi kam rakhta hai. Chunache pathri ke khatrat kam se kam ho jate hain.
0 comments:
Post a Comment