Thursday 7 January 2016

Vitamin A ke Faide Hindi aur urdu


By on 13:52:00




Vitamin A Benefits in Hindi: Janiye Iske Anmol Laabh
Vitamin A fat mai ghulanshil Vitamin hai. Yeh mukhyata retinoid aur carotenoids do roop mai paya jata hai. Sabjiyo ka rang jitna gehra aur chamkila hoga, unme carotenoids ki matra utni adhik hogi. Vitamin A aankho ke liye bahut hi faydemand hota hai. Saath hi yeh bimari se bachne ke liye bhi bahut kaam aata hai. To aaiye jante hai Vitamin A Benefits in Hindi.

Yeh vitamin sharir ke aneko ango jese skin, baal, nakhun, granthi, daant, masude aur haddi ko samanya roop se banaye rakhne mai madad karta hai aur sharir ke sabh ango ko sucharu roop se chalne mai madad karta hai.

Halaki yeh humare bhojan mai vibhinn roopo mai paryapt roop se rehta hai, lekin agar iski kami bhi ho to iski purti ke liye prakritik source ka hi laabh uthana chahiye.

Shodhkartao ne dawa kiya hai ki Vitamin A ka poshak aahar vikaas shil deksho mai har saal 5 saal se kam umra ke lagbhag 6 laakh baccho ki jaan bacha sakta hai.

Vitamin A Benefits in Hindi: Iske Aneko Faydo ke Bare Mai Jane
Acchi sehat ke liye yeh sabse accha vitamin hai. Yeh aankho ki roshni ko tez karke uski mashpeshiyo ko majboot banata hai. Aaiye jante hai iske upyog:-

Yeh bhurna ki normal growth aur development ke liye bahut accha mana jata hai.
Twacha ke liye bhi swasthvardhak hota hai.
Rakt mai calcium ka level banaye rakhne aur haddiyo ke liye kaafi avashyak hota hai.
Haddiyo, daant aur urtako ke rakh rakhav ke liye avashyak hai.
Urja paida karne ke liye sabhi koshikao ko iski jarurat padti hai.
Swasth rehne ke liye Vitamin A ke dono roop ka sevan karna chahiye.
Vitamin E ki madad se bhi aap apne sharir ko sehatmand bana sakte hai.
Kise Chahiye Adhik Vitamin A ki Khurak

Vegetarian logo aur sharab ka sevan karne walo ko iski adhik jarurat hoti hai. Lever ki bimariyo, cystic fibrosis aadi se pidit logo ko bhi Vitamin A ki avashyakta hoti hai. Kai log samjhte hai ki Vitamin A kewal ek hi vishesh padarth hota hai, jabki isme poshak tatvo ki ek vistrut shrankhla hoti hai. Har poshak padarth ke apne laabh hote hai. Adhik matra mai Vitamin A ka sevan Vitamin K ke avashoshan ko prabhavit karta hai. Fat mai ghulanshil Vitamin ke rakt ka thakka banana ke liye jaruri hai.
Khurak

Vitamin A ko 2 tarah ke unit mai napa jata hai. Inko badalne ke liye formula hai:-

“1 IU: 1 Internatiobnal Unit = 0.3 microgram Retinol Equivalent”

1 gm = 1000 microgram

Vitamin A ka pratidin jarurat umra aur sehat ke anusar badalte rehta hai:
Jamn se 6 mahine ke umra ke shishu ko karib 1333 IU ya 400 microgram
6 se 12 mahine ke umra ke shishu ko karib 1666 IU ya 500 microgram
1 se 3 saal ke bacche ko karib 1000 IU ya 300 microgram
4 se 8 saal ke bacche ko karib 1333 IU ya 400 microgram
9 se 13 saal ke bacche ko karib 2000 IU ya 600 microgram
14 se 30 saal wale wale purush ko 3000 IU ya 900 microgram
14 se 30 saal wali mahilao ko 2333 IU ya 700 microgram
Grabh ke douran karib 2500 IU ya 750 microgram
Stanpan ke douran karib 4000 IU ya 1200 microgram
Vitamin A ki Kami ke Lakshan
Kaan mai foda
Sukhe baal
Sukhi twacha
Chronic diarrhea
Sardi-jukham
Thakan
Neend na aana
Night blindness
Pneumonia
Prajann mai kathinai
Sinus
Kamjor daant
Vajan mai kami

Yeh sab iske mukhya lakshan hai. To Vitamin A ki kami sharir mai bilkul bhi na hone de.

You may also like:- Vitamin D Rich Foods ke Dwara Rahiye Hamesha Swasth
Vitamin A inn Chizo Mai Paya Jata Hai

Chukandar, asaag, broccoli, sabut anaaj, paneer, giridar phal, butter, gajar, mirch, dairy product, hari pattedar sabjiya, anda, beans, rajma, meat, aam, sarso, papita, dhaniya, chiku, mutter, kaddu, laal mirch, sea food, shaljam, tamatar, shakkar kand, tarbooz, makai ke dane, pile ya narangi rang ke phal aadi.


Inn Savdhani ko Jarur Barte

Atadhik Vitamin A lene se sharir par anek dushprabhav ho sakte hai jese ki sar dard, dekhne mai dikkat, thakawat, dast, baal girna, skin kharab ho jana, haddi aur jodo mai dard, kaleja ko nuksaan pahuchna aur ladkiyo mai asamay masik dharm hona yeh samasya ho sakti hai.

Garbh ke douran khaas savdhani- atyadhik Vitamin A, pet mai palte bacche ko nuksaan pahucha sakta hai.

Upar aapne jane Vitamin A Benefits in Hindi. To aaj hi se apne sharir ke hisab se apni body ke liye inn vitaminse yukt padarth ka sevan kare aur swasth rahe
Designer.

2 comments:

  1. Top 10 Health Tips Of Apples Eating Apples Everyday
    Health Tips Of Apples

    Health Tips Find Beauty Tips and Tricks For Learn Health
    Pakhealthtips.com/

    Health Tips, Health News, Health Care and Fitness Tips
    Health Tips

    Health Benefits of Fruit: Vitamins, Minerals + Fiber
    Fruit Health Tips

    Health Benefits of Vegetables: Vitamins, Nutrients, Fiber
    Vegetable Health Tips

    ReplyDelete