Monday 7 December 2015

Get Rid of Cracked Heels Treatment in urdu and English


By on 10:14:00


Aaj kal akser mard or kahwateen phaati hoi aaeriyon yani cracked heels kay maslay ka shikaar nazer atay hain. Aam taur per daikha gaya hai keh yeh masla ziada ter khawateen ko paish ata hai. Khaas taur par ghareloo khawateen jo ghar main din rat kam karti hain. Nangay paon zameen par chalnay say airiyoon kay phatnay kay imkanaat  ziada hoty hain. Aur agar paon ziada phat jain tou un main khon nikalny ka or peep par jany ka khatra bohat ziada hota hai. Yeh masla uss waqt paish ata hai jub aap bohut arsay tuk phati airiiyoon kay liye koi ilaj ya totkay ka istemaal na karain. Phati hoi aaeriyon ki waja say khobsorat sy khobsort jota bhi paon main nahi jachta. Iss liye khawateen ko chahiye kay woh ghar ka kam jota pehan kay Karen. Aur paon ki safai ka khas khaiayal rakhen.               `


Jin khawaten ki aeriyan sardi kay asraat say phat jati hain ya phir nangay paon zameen par chalnay say,to un kay liye hasb e zail kuch gharailoo totkay darj kiye jaa rahay hain. Umeed hai inn kay istemaal say apko faida hasil ho ga. Aur jin ko istemaal ker kay woh apny paon ko khobsorat bana sakti hen.
People who are overweight, more pressure on the heel, so that the skin there spread laterally and therefore prone to cracked heels and heel fissures. Standing for a long time also causes the skin to spread at the heels and crack. Open-backed shoes can have the same effect.

If your ski is dry and cracks on your heels, you need a plan for treatment before the condition get more wors. Before you treat moisturizers on the heels, remove the hard skin that has been built there, otherwise the moisturizers will have no effect.

USe Proper creams for your feet,and keep your heels moisturized as much as possible.

If you shower with a wet pumice stone to take away the rough areas on the heel. Rub the moisturizer into the heel, before you go to bed, and wear soft cotton socks to keep overnight in the humidity. Take more foot cream after work or in the middle of the day.
Foot Care Tips in Urdu:ایڑھیوں کی خوبصورتی
Glycerin aur lemon ka arq mila kar apni phaati hoi aaryion par lagain. Aur juraab pehan lain. Ye amal rat ko sonay say pehlay Karen. Aur subhah uthtay hi paon achi terha manj kaar saaf ker lain. Aik hafty tak isi amal ko dohrayen. Iss say aap kay paon ki phati hoi aaeriyan bhi theek ho jain gi. Aur paon khoobsorat or dilkash nazar ayein gay.
  • Woh khawateen jin ki aeriyaan sardiyon main ziada phati hon, unhen chahiye kay woh juraab pehan kay kam Karen. Taa kay phati hoi aeriyon main mati na phansy aur mazeed kharabi ka shikaar hony say bach jain. Or sath sath gharelo totkoon ka istimaal bhi karti rahen.
  • Do shaljam lay kar chilaky sameet tokray kar lain. Kisi bary bartan main pani bhar kar shaljam obalnay kay liye rakh dain. Shalgam kay gal jany par es main namak aur sarson ka tail mila lain. Aur phir iss main paon daal kar beth jain. Pani thanda honay par paon nikal len. Paon ko kisi naram kapray say achi terah saaf kar len. 3 say 4 din tak yeh amal musalasl dohrany say paon ki aaeriyan naram o mulaim ho jain gi.
  • Ghareloo totkay isstemaal karty waqt ahtiyaat ki bohat zarorat hoti hai. Hamesha qudrati ajza ka istemal karain taa kay aap chemicals ya gair mayari creams aur lotions kay isstemaal say mazeed masaail ka shikaar na ho jain. Aeriyon kay phatnay ka masla ziada tar sardiyon main hota hai. Kiyun kay sardiyon main hawa main nami or namkiyat kafi had tak kam ho jati hain. Jis ki waja say yeh masla darpaish hota hai.
  • Agar rozana sonay sy pehlay paon ko garam pani say dhoo liya jaye to phati hoi aaeriyon say nijaat hasil ki ja sakti  hai. Haftay main yeh amal aik bar doharany say bhi kafi faida hasil hota hai. Motwazan giza ka istemaal karain. Aur apnay paaon ki jild ki hifazat karain.
  • Petroleum jelly ka istemaal bhi mufeed samjha jata hai. Sard mausam mein paaon ki airiyoon per petroleum jelly laganay aur mozay pehan ker rakhnay say airiyaan phatti nahi hain aur jild narm o mulaaim rehti hai.
Ooper darj kiye gaye gharailo totkoon, beauty tips aur ahtiyaat kay sath mard aur khwateen apni aeriyon ko phatnay yani cracked heels say bacha saktay hain.
Designer.

0 comments:

Post a Comment