Monday 7 December 2015

Apple Benefits In Urdu - Saib Ke Faide


By on 13:45:00

Apple Benefits In Urdu - Saib Ke Faide

Apple ( Saib)

Apple (saib) is a fruit. It is very nutritious and healthy fruit. Apple is one of the best, healthy and tasty fruit in whole World. The famous saying about Apple, an Apple in a day keeps the Doctor away. Apple has many more kinds. Fresh apple has 84 % Water. Apple has phosphorus more than all fruits and vegetables. It is the best tonic for face skin. In this page you will find Apple benefits In Urdu (Saib Ke Faide) In Roman Hindi.

Fruit Se Ilaj (Phalon Se Ilaj)
Apple Image In Urdu
ALLAH TA’ALA ne insane ko barhi azeem neymaton se nawaza hai. In he neymaton mein phal (fruit) aik numayan hesiyat ke hamil hain, jo na sirf ghizai ajzaa se bharpor hain, bal ke ALLAH PAK ne in mein sehat o tandrusti ke liye aesi aesi khusosiyat ataa farmai hain ke in ke samne barhi barhi medicines bhi kuch nahi hain. Yehi wajah hai ke maghrib mein fruits mein ghizaon, fruit se ilaj (phalon se ilaj) to baqaiyda tibbi science ki shakal ikhteyar kar chukka hai.

Apple Benefits In Urdu

Apple Ke Faide

Fruits mein saib (apple) ko sab se ziyada sehat o tawanai bakhsh, lazeez tareen phal qarar diya gaya hai. Apple aik khush zaiyqa, khush rang aur khush shakal fruit hai. Is ki senkaron iqsam hai. Saib (Apple) mein nisf hissa thos hota hai aur is mein ziyada protein aur khaand hota hai. Apple apni ghizaiyat ke lihaz se duniya bhar ka maroof fruit hai. Bache, borhey, naujawan, bimar aur tandurust sab he shuaq se khate hain. Fresh apple mein 84 % water hota hai. Saib (Apple) mein phosphorus sare fruits aur vegetables se ziyada hota hai. Aur peels mein hiyateen aur vitamin C bhi bohat ziyada paya jata hai. Is lihaz se apple ka jhilka waste kar dena sahi nahi. Apple peel ko aik qeemti chez samajh kar istemal karna chahiye. Apple (saib) na sirf aik behtreen sehat bakhsh ghiza hai, bal ke is ke istemal se khoon saaf hota hai. Face ki skin ke liye apple se acha koi tonic nahi. Is ke istemal se face color, jild mulaiym aur rukhsar surkhi se bharpor ho jate hain. Rozana niharmou aik se 2 apple ka istemal sehat ko qabil e rashk bana deta hai.
Apple (Saib) meyde mein pohanch kar pepsin ko tez karta hai. Jis se hazme mein madad milti hai. Bhook barhti hai, lever ka feyl bhi tez ho jata hai. Jis ke natijey mein khoon ki peydaiysh bhi barhti hai. Apple mein phosphorus ka qudrati khazana hai. Is liye khoon ki kami wale patients ke liye to apple aik meymat hai au raise hazrat ke liye to is azeem neymat KHUDAWANDI se mustafeed na hona kufran e neymat ke mutaradif hai.
Apple (saib) ke peels ko hamare han aam taur par waste kar diya jata hai. Jab ke apple ke jhilke se nihayat khush zaiyqa lazeez tea tayyar hoti hai, jo aam istemal hone wali tea, coffee, qehwa ki tarha muzir rasa’an nahi, bal ke sehat o quwwat bakhsh hai aur is mein lemon juice aur honey ka izafa kar liya jae to is ke fawaiyd do chand ho jateh hain. Yeh tea pechish aur bukhar muhraqa ki kamzori ko door karne ke liye mashoor aalam Maqwi mashroob Oval teen ka kaam deti hai.

Saib Ke Faide

Saib (Apple) aik aala, nafees, khush zaiyqa ghiza hone ke sath sath apni dawai shifa bakhsh asraat ke aitebar se dosre fruits se mumtaz hai. Salaha saal se aazmoda hai, is ke chand aik tibbi ausaf darj zeyl hain.
* Mote Mote apple le kar in ke andar se seeds nikal dain aur knife se peel off kar ke pani mein halka josh den, neem pukhta hone par sugar ki chashni daal kar thori dair pakaen, qawam pakne par utar kar mehfooz kar len aur bawaqt subha bataur nashta apple warq naqrah mein lappet kar istemal karna, maqwi qalb aur maqwi dimagh hai.
* Fresh apple juice mein qadre kali mirch ( Pisi hui ) zeera aur salt mila kar piyen, is se bhook mein izafa hoga, ghiza juzo badan milne mein madad milegi aur meyda taqatwar hoga.
* Har roz subha ke waqt Bahi dana 3 mashey potli bandh kar 3 chitank pukhta apple ke juice mein josh den aur thanda kar ke pilaen. Chand yaum ke istemal se be khuwabi ka marz khatam ho jaega.

Tibbi Mashwaray In Urdu

Doctor ke nazdeek apple aik best dimaghi ghiza hai, dosre mahireen bhi lagatar dimaghi kaam karne walon ke liye apple bohat mufeed batate hain. Khawateen ko khusosiyat ke sath apple ziyada miqdar mein khana chahiye. Pregnancy ke dauran is ka bakasrat istemal aurat ko bohat si bemariyon se mehfooz rakhta hai. Nanhe bachon wali aurton ke liye bhi bohat mufeed sabit hota hai. 6 maah ki umar ke bache ko umdah qisam ke sheren apple ki aik 2 qashon ka arq pilana is ki tandurusti mein heart angez izafey ka baaiys hoga. Aur teeth nikalne ke ayyam mein fresh apple ki aik qaash chabane se bache ke masorhon ki takleef door ho jati hai aur teeth ba aasani nikalte hain.
Apple har waqt khaya ja sakta hai. Apple ka kisi waqt bhi khana nuqsandey sabit nahi hota. Agar khan eke bad khaya jae to hazme ki muaawnat karta hai. Nashte ke taur par khaya jae to khoon barhata aur dil o dimagh ko farhat bakhshta hai. Apple ka murabba dil o dimagh aur khoon ki kamzori ke liye bohat mufeed hai.
Designer.

1 comments:

  1. Top 10 Health Tips Of Apples Eating Apples Everyday
    Health Tips Of Apples

    Health Tips Find Beauty Tips and Tricks For Learn Health
    Pakhealthtips.com/

    Health Tips, Health News, Health Care and Fitness Tips
    Health Tips

    Health Benefits of Fruit: Vitamins, Minerals + Fiber
    Fruit Health Tips

    Health Benefits of Vegetables: Vitamins, Nutrients, Fiber
    Vegetable Health Tips

    ReplyDelete