Wednesday 30 December 2015

Chehre se faltu baal khatam karna in urdu / Home Remedies for Unwanted Hair in Urdu/ Hindi :


By on 10:25:00


Khoobsoorat chehra her aurat ka khawab hota hai. Makeup ker kay aap waqti khoobsoorti tou haasil ker sakti hain mager dair paa khoobsoorti khoobsoorat jild k liye hee mumkin hai. Khoobsoorat jild goray rung ka naam nahi hai. Balkay iss kay ilawabhi bohut si cheezain hain jinka khayal rakhna bay had zaroori hai. Aisay bohut say masail hain jin say bachna aur unka ilaj karna zaroori samjha jata hai. Chehray kay faaltoo baal yani unwated hair doosray bohut say masaail ki terha aik ahem masla hai jinhain khatam karna apki khoobsoorti main izafay ka baes banta hai.

Iss tehreer ka maqsad apkay saath kuch asaan beauty tips share kerna hai jin ki madad say aap chehre kay gair zaroori ya faltu baaloon (unwanted hair on face) say nijaat hasil ker sakti hain.

Home Remedies for Unwanted Hair in Urdu/ Hindi :

500 gram shakker lain, garam paani aik cup, ¼ chaye ka chamach tatri powder, glycerin aadha chaye ka chamach, lain aura chi terha mix ker kay tamam ajza ko chehray per lagain. Khushk honay per rager ker utaar lain.
125 gram aata lain, iss mein 10 gram haldi, leemoon ka chilka 10 gram, sufaid sandal 10 gram, inn sub cheezoon ko mix ker kay bakri k doodh mein mix ker lainaur chehray per laga lain aur khushk honay per massage ker kay chehray say utaar lain.
Baisan main pani ghol kay uss ka garha sa paste bna lain aur usay chehray pay achi trah laga lain. Phir kuch dair tak lga rahny dain jub sookh jaye tu ragar kay utar dain.
Aik bartan main thora sa pani ly kr namak dal kar mila lain aur aik sooti kapra us main bhigo kay chahray py halky halky say ragrain. Aik hafty kay baqaida istemaal say tmaam gair zarori baalooon say nijat mil jaye gi.
Multani mitti, tree gum, medicated ubtan aur arq e gulaab mein mix ker lain aur chehray per lagain. 30 minute kay baad arq e gulab say dho lain. Kuch arsay ka musalsal isstemaal chehray kay gair zaroori baaloon say nijaat ka bais bunta hai.
Aik anda(egg), corn flour aadha cup aur 1 chaye ka chamach cheeni lay ker mix ker lain aur chehray per laga lain. Khush honay per mask ko utaar lain. Chehray kay gair zaroori baal iss mask ko peel kernay say door ho jatay hain. Iss kay baad arq e gulab ya koi bhi acha sa cleanser lay chehray saaf ker lain aur neem garam paani say saaf ker lain.
Gandumm ka aata, sarsoon ka tail, baisan, doodh ki balai, paani aur leemoon ka rus mila ker aik paste tayyar ker lain aur chehray per laga lain. Ahista ahista ragernay say chehray kay baal tootna shuru ho jatay hain. Iss kay baad mild cleanser ka istemaal aur aakhir mien neem garam paani say chehra dhoona mufeed hai. Yeh amal dohratay rehnay say ahista ahista chehray kay baal khatum ho jatay hain.
In gharailoo totkoon kay ilawa waxing bhi aik azmooda ilaaj hai jis kay zaiye aap gair zaroori baaloon say nijaat hasil ker sakti hain.

Inn tamam beauty tips kay ilawa jadeed tareekoon mein laser treatment bhi mauser tareeqa ilaj samjha jata hai. Mager ziada ter gharailoo khawateen iss tareeka e ilaaj ko mauzoon nahi samajhti hain. Iss liye woh gharailoo beauty tips ko hee mauser samajhti hain. Kiyun kay who aazmooda aur muzhir asraat say paak hotay hain aur asaani say her koi inn ko aazmaa sakta hai. Umeed hai ooper darj ki gai beauty tips say aap chehray kay gair zaroori baaloon (unwanted hair on face) say nijaat haasil ker pain gi

.

Comment you will be assisted live

Designer.

1 comments:

  1. Top 10 Health Tips Of Apples Eating Apples Everyday
    Health Tips Of Apples

    Health Tips Find Beauty Tips and Tricks For Learn Health
    Pakhealthtips.com/

    Health Tips, Health News, Health Care and Fitness Tips
    Health Tips

    Health Benefits of Fruit: Vitamins, Minerals + Fiber
    Fruit Health Tips

    Health Benefits of Vegetables: Vitamins, Nutrients, Fiber
    Vegetable Health Tips

    ReplyDelete