Monday 14 December 2015

Exercise Tips In Urdu Warzish In Urdu


By on 14:14:00

Exercise Tips
Exercise is equally important for Men and Women. However, here we are talking about Women exercise. You should exercise daily. It is very harmful for your health and body. Exercise is a natural working. It may reduce extra calories and depressive symptoms. Exercise is necessary and very harmful for pregnant women also. They can do exercise daily. In this page, you will find information about different tips of exercise. exercise tips warzish In Urdu, and Roman Hindi.

Exercise Tips In Urdu

Warzish In Urdu

Exercise (warzish) ki ahmiat jetni mardon ke liye hai utni khawateen ke liye bhi hai. Exercise jism ki fazil charbi khatam kar ke isay mutanasib aur khubsorat banati hai balke ye duniya ki behtareen khuwab awar dawa ka kaam bhi deti hai aur bay khuabi se nejat delati hai. Aap ke mood ko bhi khushgawar banati hai. Beshtar mahireen e qalb iss baat par mutafiq nazar aatay hain. ke agar koye khatoon haftay mein teen din adhay gantay tak achi exercise karay to usay dil ke doray ka khatra baqi nahi rehta, iss liye iss baat ki bohat ahmiat hai ke 40 baras ke umar tak phuch ne se pehle hi exercise (warzish) ka program tarteeb dailena chahiye.

Yeh baat har shakhs bakhobi janta hai ke zindagi aur sehat ka choli daman ka sath hai. Is baat ko sirf is had tak janna he kafi nahi, balke is ko samajhna bhi bohat zaroori hai. Is ko samajhne ke liye is ki gehrai mein ja kar yeh pata chalana hai ke wok on se usool hain jin ko apna kar hum sehat aur zindagi ka meyar aala kar sakte hain. Qudrat ne insaan ke jism ko aik machine ki manind banaya hai jo agar chalti rahe to apna kaam bakhobi karti hai aur agar maheeno band parhi rahe to beykar ho jati hai. Ya zang aalood ho jati hai. Sehatmand rehne ke liye rozana mushaqat ka kaam zaroori hai. Kyun ke aaj kal jismani mushaqqat se ziyada zehni mushaqqat hoti hai, is liye humen apne jism ko mazboot aur tawana banana ke liye warzish ka sahara lena parhta hai.

Warzish na sirf jismani sehat aur tandurusti ke liye zarori hai bal ke is se zehni nashonuma mein bhi madad milti hai. Chehre ki shadabi ke liye subha sawere warzish aur chehal qadmi karni chahiye, is se chehra gulabi ho jata hai. Warzish se hamari sehat par masbat asraat murattab hote hain aur jism ka dauran-e-khoon tez ho jata hai. Jism ki falto chiknaai kam ho jati hai. Jism chust aur tawana rehta hai. Rozana subha chehal qadmi Karen, chehal qadmi aesi warzish hai jo khusosan khuwateen bachpan se bhurapey tak kar sakti hain. Warsish karne se insaan ka aesaabi dabao khatam ho jata hai. Aur inseam mein masbat soch janam leti hai. Lihaza rozana thora waqt apne jism ko sehatmand rakhne ke liye bhi nikalna chahiye.


Exercise Tips For WomenMusalsal exercise (warzish) karnay wali khawateen achi jisamat aur roshion charay ki malik hoti hai. Warzish (exercise) joroon kay dard say mehfooz rakhti hai aur joroon ko mazboot banati hai. Khawateen (women) ko halki phulki ashan excercise (warzish) karna chahiye. jo television daikhtay hoye, akhbar parhtay hoye aur phone par baat kartay hoye anjaam daisakay. Ibteda panch say das minute ka dauraniya rakhayein aur phir rafta rafta barhati chalijayein. warzish kay liye kisi maksoos labaas ki zarorat nahi. koye bhi labas jo aaram dai honay kay saath saath jism ko harkat denay ki aazadi daisakay. Monasib rahey ga pharas par exercise (warzish) kartay waqt Kaleen ya dari ka isstamaal karain. Jab bhi koye kaam karain jis mein jhuknay ki zarorat ho jaysay necha say khuch uthana, darazain khulna, almari kay nichlay khanoon mein kuch rakhna ya kuch talas karna wagayra. Aisi sorat mein kamar say ghuknay kay bajaye ghutnoon ko jhukayein aur in ki exercise (warzish) karain.
Peeth bulkul sidhi rakhay. TV daikhtay waqt, mutalla kartay waqt, pait kay pathon ki exercise (warzish) karain. Payroon ko zamin kay motwazi pheyladain. Aik tang sidhi kar kay isay jitna bhi ho uncha kar lain. ye hi amal dosri tang kay sath bhi dhorayain koi bhi aisa amal bheytareen warzish hai jis mein badan khichao mehsos karta hai. Upar tak moun lay janay kay liye jism ka nichla hisa andar ki taraf morain aur panjon kay bal upar uthain. iss tarha poray jism mein khichao mehsos hoga . Farsh par jharow lagana aur phocha lagana, hathoon, tangoon aur kamar ki behtareen exercise (warzish) hai.

Women baqaidgi say exercise (warzish) karain aur hamaisha sayhat mand rahain. Monasib jism ka hosol koi asan kam nahi hai, isay hasil karna dushwar hai aur phir barqarar rakhna aur bhi mushkil hai jismani fitness aik aysi halat hai jis kay tahat insan apni tamam sargarmion mein bhar por hissa laynay kay baad bhi apnay aap ko itna hi ziada faal mehsos karta hai kisi bhi fard ki jismani fitness ka daro madar bahot si baton par hota hai jasay umar,wirrasat aur tarza e zindai wagayra.Umar aur morosi bimarion ko tou control nahi kar sakta, tahm tarzay zindagi bhi bohot farq dalti hai jismani tor par sahat mand rhaynay ka aik bonyadi asol ye hai kay bakaidgi say warzish karay ziada sakht wazish karnay kay bajaay halki phol ki wazish karayn,taham bakaidgi zarori hai. Anfawan shabab say laykar adhir umar tak ka zamana ammoman bhartrin jismani sayhat ka hasil hota hai, taham har umar kay log sayhat mandana aadat aur bawaida warzish kay zariay say jismani fitness qaim rakh saktay hain baz sayhatmandana aadat aysi hai jo insan ko chakochoband rakti hai maslan, bharpor nind, monasib motwazan ghiza, bhok say ziada na khana, bakaidgi say tabai moina aur datoon ka moina aur nuzray sayhat ashia say parhayz waghayra.

Tips For Body FitnessInsan ki jismani fitess ka inhesar iss baat par hai kay wo kitni aur kis qisim ki exercise (warzish) karta hai. Beshtar mahirin rozana 30 mint execise (warzish) karnay ka mashwara datay hain. Ye exercise (warzish) asan honi chahiye jasay chahal qadmi, koi pasand dida khail. App bakaidgi say exercise (warzish) issi waqt kar sakti hain jab iss say lutf andoz hoon . Exercise (warzish) ka phayla usool ye hai kay aap aisi execise (warzish) ka intaykhab karayn jo app ko pur lutf mehsos ho khawateen amuman jism mein lachak payda karnay wali exercise (warzish) karti hain .Ye halki wazish in baton par mushtamil hai jhukna, gardish karna, morna aur jism ko morna in say aza ko jornay wali nasay khaychti hain aur joro par mokhtalif qisim ki harkatain amal mein ati hain. ye sada warzish mundarja zail baton mein mustamil hoti hai. payoon kay angothay ko chona, kamar ko gardish daina, bazuyoon ko gardish daina, garden mein loch peida karna, ataraf mein jhukna wagaira.


Exercise Tips For Jogging
Jogging har umar kay logoon mein maqbool hai. Iss mein aik khas muqarara raftar say muqarara waqt tak bhagna hota hai. Raftaar ki sarah ka inhasaar fard par hota hai lakin agar aap ko maloom nahi kay kis raftaar say dorna hai to aik asaan sa test kar lain. Agar jogging kartay waqt aap ka saans nahi pholta to phir aap sahi raftar say jogging kar rahi hain. Agar jogging kay doraan aap ka saans pholta hai to pir aap taiz raftari say jarahe hain. Jogging kay lia sirf dhelay dhalay lebas aur araamday jota hi kafi hai. jogging kay kai fawaid hain. Maslan iss say pairoon kay phatay mazboot hojatay hain aur wazan ko control karnay mein madad milti hai. Iss say zehni dabawo bhi kam hota hai aur taza hawa mein saans lanay ka moqa bhi milta hai. Jogging say bharpoor faida uthanay ki khatir iss ka program tarteeb dain jiss mein haftay mein teen martaba jogging karain aur jogging ka fasla do teen kilometer ho. 35 saal say ziada umar kay logoon ko chahiye kay iss program par amal karnay say pehlay apnay doctor say zaroor mashwara karlain. Exercise (warzish) kisi bhi sorat mein ki jaye ye pathon ki taqat mein azafa karti aur qowat bardast ko barhati hai. Exercise say zahan bhi taro taza hota hai tamaam jismani nazaam durust kaam karta hai aur qowat mudafaat bhi bar jati hai. Khawateen kay lia sada warzish behtar rehti hai, jasay chehal qadmi aur jogging jo jisim ko mutahrik karnay aur mazboot bananay kay lia behtareen exercise hai. Khawateen iss say lutf andoz bhi hosakti hain.
Designer.

1 comments:

  1. Top 10 Health Tips Of Apples Eating Apples Everyday
    Health Tips Of Apples

    Health Tips Find Beauty Tips and Tricks For Learn Health
    Pakhealthtips.com/

    Health Tips, Health News, Health Care and Fitness Tips
    Health Tips

    Health Benefits of Fruit: Vitamins, Minerals + Fiber
    Fruit Health Tips

    Health Benefits of Vegetables: Vitamins, Nutrients, Fiber
    Vegetable Health Tips

    ReplyDelete