Monday 7 December 2015

Weak Hair Solution in Urdu/ Kamzor aur girte balon ka azmooda elaaj


By on 10:37:00

Balon ka Ilaj
Who does not like long, thick and shiny hair? Keep in mind that long hair or short hair not so important, the main thing is that how strong hair is. Dandruff is a common disease. More dandruff can cause hair loss. If you head over dandruff than over the comb should be able to increase the blood ran. Do not comb wet hair. Avoid to shampoo daily, because it remove moisture from hair. More detail read in Urdu.

Normal aur Khush Balon ki Hifazat
Ghane lambe khoobsurat aur chamakdar baal kise ache nahi lagte lambe aur dilkash baal mashraqi aurat ke rawaiti husn ka hissab samjhe jate hain. Tahum yeh cheez zehan mein



rakhein keh baal chote hon ya bare is ki itni ahmiyat nahi asl Cheez balon ka sehat mand hona hai agar baal lambe hon magar khoobsurat aur zindagi se bharpoor na hon to aap ki shakhsiat par in ka koi asar nahi pare ga lekin is ke bar aks agar baal chote bhi hon magar sehat mand aur chamakdar hon to yeh shkhsiyat ki dilkashi mein izafa kar dete hain. Medical science ke mutabiq balon ki saakht na sirf munfard hoti hai. Balkeh ise jism ka aik khasoosi azo ya hissah samjha jata hai.

Sar ke balon har mahine mein ½ inch tak barhte hain. Jab baal aik khas lambai tak puhanch jate hain to in ki nasho numa ruk jati hai. Is ke baad baal toot jata hai aur is ki jagah doosra baal le leta hai. Yeh aik qudrati amal hai. Is tarah se balon ke girnae aur naye sare se ugne ka amal jari rehta hai. Baal mosam e garma mein mosam e sarma ki nisbat ziadah girte hain. Qudrati tor par aik din mein 30-60 ki taadad mein baal girte hain. Sar par baal ugne mein 2 se 6 saal tak ka aarsa lag jata hai jabkeh palkon aur eyebrow ke baal sirf 3 se 5 mah din mein dobara ug aate hain.

Agar baal normal taadad se ziadah gir rahe hon to in ki buhat si wajoohat ho skti hain. Jaise sadma, bimari, hamal, vitamin ki kami, mukhtalif qisam ke lotion aur shampoo ka istemaal, oil na lagana waghira tahum gale aur danton ki kharabi bhi balon par asar andaz hoti hai, hamare balon par warasat ka asar bhi hota hai. Agar warasat mein lambe baal chale aarehe hain to hamein aise hi baal wirse mein milte hain. Agar be ronaq baal hain to woh bhi qudrati tor par agli naslon tak muntaqil hote rahein gay.



Baalon ki Khushki Khushki aik aam bimari hai. Khushki asal mein sar ke opri satah par khulye jharne ki wajah se hoti hai. Ziada khushki baal jhrne ka sabab banti hai. Agar sar mein khushki ho to sar mein ziadah se ziadah brush krna chahiye takeh doran e khoon tez ho aur khushki comb ki madad se nikal aaye aur meyari dandruff shampoo ka istemaal bhi zarori hai.

Balon ki do Nokein Hona

Aam tor par yeh mslah kushk baalon mein paya jata hai. chikne balon mein do nokein zara kam hoti hain. Jb qudati tor par baal khushk hone lgte hain to baalon ke aakhri saron par chiknahat nahi rehti aur be had khushki ki wajah se balon ka akhri sira phat jata hai aur aik hi baal ki do nokein ho jati hain. Is ka behtareen ilaj yeh hai keh agar baalon mein do nokehin ho jayein to balon ko katwa lein . Khas tor par balon ke sare aur balon ke saron par tail ka masaj bhi zaroori hai. Masaj ke liye hathili par oil laga kar balon ki nokon ko donon hathiliyon ke drmiyan rakhein aur halke hath se ragarein to kasi had tak do nokein khatam ho jayein gi.

Balon ko Shampoo Karne ka Tarika

Balon ko shampoo is liye kia jata hai keh in mein jama hone wala mail aur tail nikal jaye jo hamare sar ki jild par paida ho jata hai.

Shampoo ka istemaal cosmetic se murad hair spray sting lotion ya tail wagira se hai agar in chemical ko sar par istemaal karne ke baad achi tarah se shampoo ke zariye na nikala jaye to yeh baalon par bure asrat murattab karte hain.

Shampoo sabun ki nisbat halke chemical par mushtamil hota hai jo balon ke liye ziadah mozo hota hai jabkeh sabun mein zidah taqat war chemical paye jate hain. Jo balon ke liye noqsan dah sabit ho skte hain aur sabun ke istemaal se balon ki do nokein nikal aati hain aur baal kushk aur be-ronaq ho jate hain.

Mukhtalif qisam ke balon ke liye mukhtalif shampoo hote hain. Baalon ki sakht aur in ki qudarti halat ko madd e nazar rakh kar hi shampoo ka intekhab karna chahiye. Agar kisi shakhs ke baalon par kisi khas shampoo ka sar buhat acha nazar aarah hai to zaroori nahi wahi khas shampoo hamare balon par bhi wisa hi asar dale ga hfte mein kam az kam do bar shampoo lazmi istemaal karna chahiye is se baalon ki ronaq mein izafa hota hai. baaz log balon ko shampoo karne se pehle aik dafa sabun laga lete hain phir shampoo ka istemaal karte hain jo sara sar ghalat hai. Is se balon ko nqsan puhanchta hai.

Aam tor par balon ki teen qismein hoti hain.

Chikne baal
Khushk baal
Normal baal


Chikne baal
Chikne baalon ko hafte mein kam az kam char dafa shampoo karna chahiye.

Normal baal:
Normal balon ke liye do se teen bar shampoo ka istemaal karna lazmi hai.

Balon ko shampoo karne se pehle achi tarah se suljha lein suljhaye begeir baal tootne ka khtrah rehta hai. Is ke baad balon ko pani se khoob achi tarah gila kia jaye yahan tak keh baal narm ho jayein. Ab balon mein fingers ki madad se pani ke sath masaj karein takeh jitni mail aur tail pani ke sath nikal sake woh nikal jaye aur aap ko khood bhi is masaj se aik farhat bakhsh ahsas hoga.

Masaj ka tarika kar yeh hai keh fingers ko circle ki surat mein ghuma kar tamam sar ki jild ko halke hath se cover karein.

Tqreeban 3 se4 minute yeh masaj karein. Ab thora sa shampoo le kar baalon mein achi tarah jhag banayein aur shampoo lagate hue bhi fingers ki madad se sar ka masaj karein is tarah se shampoo sar ki jild ko bhi saaf karta hai. Shampoo ko sar par 3-4 minute se ziada na laga rehne dein. Shampoo laga kar sar ka masaj zaroori hai is tarah se tamam sar achi tarah saaf ho ta hai ab baalon ko pani se dho lein. Balon mein shampoo ki zara si bhi muqdar na rehne dein. Wrna yeh balon ko noqsaan punhchate gi. Is ke baad balon ko towel se khushk karein . Towel se baalon ko har giz na ragarein is se balon ke tootne aur do nokein banne ka khatra rehta hai. Na hi gile baalon mein kinghi(comb) karein. Balon ko kuch der dhoop lgana zaroori hai. Is ke baad mote dandane wali ganghi se baalon ko suljhayein . Is tarah sar dhone ke baad aap ko buhat aaram mile ga. Chand baton ka khas kheyal rakhein.

Balon mein tail sarf chand ghnton ke liye lgana chahiye. Agar balon mein tail ziadah der laga rahe ga to balon ko munasib oxygen na milne ki surat main baal be jan aur be ronaq ho jayein gay.

Shampoo bar bar tabdeel karne se bhi balon par bura asra parta hai.
In tamam tariqon par amal kar ke aap apne balon ko sehat mand aur jandar mehsoos karein. gi.

Rukhe aur Kamzor Baalon ki Hifazat
Rukhe aur kamzor balon se kon pareshan nahi hota. Khas tor par sardi ka mosam rukhe be jan balon ke liye wabal jan sabit hota hai. Lekin chand sufad tadaber istemaal kar ke kushk aur kmzor balon ko ghana, mazboot aur chamak dar bana ya ja skta hai.

Gile balon ko suljhane ki koshish na karein kiun keh gile baal fori toot jate hain.

Khushk balon ke liye bareek kanghi(comb) istemaal na karein. Bareek kanghi se balon par shaded zor parta hai aur baal is mein ulajhne ke bais toot jate hain. Kanghi ke bajaye brush ka istemaal karein.

Rozanah shampoo karne se ijtanab karein kiun keh shampoo ka ziadah istemaal balon mein mojood qudrati tail aur nami ko khatam kar deta hai. jis se baal rukhe aur kmzor ho jate hain.

Shampoo ke intekhab mein is baat ka kheyal rakhein keh shampoo mein protein aur moisture ki munasib moqdar shamil hai aur ise khas tor par khushk balon ke liye tiyar kia gia hai.

Khusk balon ke liye tiyar kiye gaye shampoo mein zink perithon aur silinium slfaid shamil ho jo na sirf khusk balon ko nami frahum karte hain balkeh in ki nasho numa mein bhi ahum kirdar ada karte hain. Shampoo ke baad conditioner ka istemaal zaroor karein. Is se aap ke baal na sirf chakamdar aur khoobsurat nazar aayein gay balkeh ab aap inhein aasani se sanwar bhi skti hain.


Sarson ke tail mein ande ki zardi pheint kar daal lein. Phir yeh balon ki jaron mein lagayein. Khushki jaron se khatam ho jaye gi. Is ke elawa coconut oil ka masaj karne se bhi khushki ka khatma hota hai.
Tags: balon ka girna, balon ka ilaj, balon ki khushki, balon ki hifazat in urdu, balon k totke

Anday Ke Fayde in Urdu Benefits Of Eggs
Designer.

1 comments:

  1. Top 10 Health Tips Of Apples Eating Apples Everyday
    Health Tips Of Apples

    Health Tips Find Beauty Tips and Tricks For Learn Health
    Pakhealthtips.com/

    Health Tips, Health News, Health Care and Fitness Tips
    Health Tips

    Health Benefits of Fruit: Vitamins, Minerals + Fiber
    Fruit Health Tips

    Health Benefits of Vegetables: Vitamins, Nutrients, Fiber
    Vegetable Health Tips

    ReplyDelete