Friday 18 December 2015

Molasses Benefits/ Gur ke faide


By on 12:34:00


Aapko yadi sehat banye rakhni hai aur meetha bhi khane ka shouk hai. To aise mai aap gudh ka sevan kijiye. Bahut si research ke baad expert iss natije par pahuche ki, har vyakti ko rozana iska sevan karna chahiye, jo unke swsath ke liye bahut laabhkari hota hai.


Lekin bahut se log iske faydo ke baare mai nahi jante hai. To chaliye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Molasses Benefits. Jisse aap iss gunkari gudh ke bemisaal faydo ke baare mai jankari hasil karke iska sevan shuru kar sakte hai.


Ayurveda ka manna hai ki gudh mai moujud tatav sharir ke acid ko khatam karte hai. Iiske viprit chini ke sevan se acid badh jati hai, jisse baad rog paida hote hai. Vadhye ki salah ke anusaar, nirogi kaya aur dirgayu ke liye bhojan ke baad niyamit roop se 20 gram gud ka sevan karna chahiye.


Gudk ke tamam faydo ke baujud ayurveda mai kuch aise padarth ke saath iske sevan ko nishedh mana jata hai, jinme dudh mai mila ke pine ki manahi ki gai ho. Halakai pahle gud khaye aur fir dudh piye. Isse aapki sehat theek rahegi aur kai rogo se bachav bhi hoga.


Prachin samay mai gudh ko swasth ke liye amrat mana jat hai, jabki chini ko safed jahar mana jata hai. Gudh khane ke baad hamare sharir pachan kriya ko sudharta hai. Jabki chini acid paida karti hai, jo sharir ke liye hanikarak hoti hai. Ayurveda mai kiye gaye study se ptaa chala hai ki dudh ke mukable chini ko pachne mai pachas guna jyada urja kharch hoti hai. Yadi gud ko pachne mai 100 calorie urja lagti hai to chini ko pachne mai 500 calorie kharch hoti hai.


Isi tarah gud mai calcium ke saath phosphorus bhi hota hai, jo haddiyo ko majbut karne mai sahayk mana jata hai. Vahi chini haddiyo ke liye nuksaan dayak hoti hai.Kyoki chini itne adhik temperature par banai jati hai ki, jiske karan ganne ke ras mai moujud phosphorus khatam ho jata hai.
Designer.

0 comments:

Post a Comment