Monday 7 December 2015

Fish Benefits In Urdu


By on 13:42:00

Fish Benefits In Urdu

Fish Benefits

Fish (machli) is a watery animal. We have many kinds of fishes in the water. But only some selected fishes we can eat. Fish is very useful for everyone. Fish is very healthiest thing. Almost once in a week we should eat fish. It is very useful for Joints problem. If you take fish once or more time in a week, so you can remove your joints problem very soon. Fish has omega 3 oil (tail) or fatty acid; it is very caring for our Heart and Brain. In this page, you can see the information about fish benefits in urdu (Machli ke Fawaid).

Fish Benefits In Urdu

Machli Khane Ke Fayde ( Machli Ke Fawaid)

Fish Benefits image
Experts ka kehna hai ke agar week mein kam az kam aik baar chiknai wali machli (fish) khai jaye to (joints problem) gathiya lahaq hone ka khadsha nisf had tak kam ho jata hai. Yeh nataij 32 thousand Swedish ladies (khawateen) par ki jane wali study kw bad samne aai. Jis se aik baar phir is baat ki tasdeeq ho gai kea chi sehat ke liye khoraak mein machli (fish) ko zaroor shamil hona chahiye. Mohqiqeen ke mutabiq fish is liye bhi sehat ke liye mufeed hai kyun ke is mein omega 3 tail (oil) ya fatty acid hota hai aur yeh wo fatty acid hai jo dil aur dimagh dono ki hifazat karta hai.
Joints ke marz ke liye makhsos jareedey mein shaey hone wali tehqeeq ke mutabiq machli (fish) aur omega three oil dafae waram hai aur yehi wajah hai key eh joints ke asbaab se fight karte hain. Report mein mazeed kaha gaya hai ke Haring, Macrell, Pilchard, Salmon, Sadden, Trout, aur Tuna fishes mein omega 3 fatty acid aur vitamin D bakasrat paya jata hai. Baaz white fishes air shell machli (fish) mein bhi omega 3 paya jata hai. Lekin is ki miqdar chiknaidaar fishes ke muqabley mein bohat kam hoti hai. Ghizaai sifarishat ke mutabiq aik sehatmand mutawazin khurak mein week mein kam az kam 2 portion fish bhi honi chahiye. Aik portion chiknai wali machli (fish) ka matlab hai ke pakne ke bad is ka weight 140 gram tak hota hai.
Hamla Khawateen (Pregnant ladies) ya wo khawateen (ladies) jo future mein Maa banne wali hain, in ko week mein kam az kam 2 portion se kam chiknaidaar machli (fish) nahi leni chahiye, kyun ke is mein pollution ki satah bohat kam hoti hai, jo ke jism mein jama ho sakti hai. Mazkora study jo lag bhag aik ashrey par mushtamil thi. Is mein dekha gaya ke jo ladies week mein kam az kam aik baar kisi bhi qisam ki machli (fish) khati rahi thin, un mein joints problem hone ka khadsha aik tehai tak kam ho gaya tha. Jab ke jin ladies ne week mein kam az kam aik baar chiknai aur fish ka aik portion khaya tha, un mein yeh khadsha nisf had tak kam ho gaya hai.
Study mein fish oil par mushtamil supplements ki baat nahi ki gai, lekin experts ke kehna hai key eh bhi mufeed ho sakte hain. Arthritis research UK ke Medical director Professor Aalen Salmon ne is silsile mein guftugoo karte hue bataya ke mukhtalif shawahid milne ke bad hum yeh jaan chuke hain ke jin afraad mein mutahrik joints problem hai, wo fish oil le kar is ki shiddat ko kafi had tak kam kar sakte hain.
Study se pata chalta hai ke ziyada miqdar mein machli (fish) ke oil lene se joints mein waram ko ibteda mein he control kiya ja sakta hai. Tahum is mein aik barha challenge yeh hai ke aisa karne ke liye khuraak mein barhe peymane mein changing karna ho gi. Report mein bataya gaya ke duniya mein is waqt croro ki tadad mein afraad joints ki takleef de bemari mein mubtila hai. Yeh bemari jaise jaise barhti hai defaai nizaam joints par hamla aawar hota hai aur in ko hard aur soil kar ke shadid takleef ka baiys bana deta hai.

Fish Oil : ( Machli ka Tail)

Jo cod-liver oil ke naam se kafi shohrat hasil kar chukka hai. Machli ka tail Sil o daq mein nihayat mufeed ghizai dawa hai. Is ke istemal se patient ki quwwat qaiym rehti hai. Is ka jism mota ho jata hai aur weight barh jata hai. Is ko pilane ka tariqa yeh hai. First week mein 1 tea apoon bhar ke ( taqriban 6 mashe ) pilaey. Aur phir slow slow 4 spoon tak pohnchae. Yeh aik waqt ki miqdar e khorak hai. Bad ghiza din raat mein 2 se 3 baar dein. Is ki majmooi miqdar aadhi chitank se aik chitank tak pohanch jaye to koi muzaiyqa nahi. Lekin first week mein daily aik he khoraak khana khan eke bad di jae to behtar hai. Agar koi patient is ki smell ko bardasht na kar sake. To us patient ko is ke emiction istemal karwaey
Designer.

0 comments:

Post a Comment