Tuesday 1 December 2015

Sardiyoon (Winters) kay Liye Azmooda Totkay/ Upay in Urdu/ Hindi


By on 14:19:00

Sardiyoon (Winters) kay Liye Azmooda Totkay/ Upay in Urdu/ Hindi

Sardi ka mausam aksar mumalik main khaasa shadeed hota hai. Aik taraf yeh mausam bohut si saugataain apnay sath lata hai jaisa kay khushk meway, garam mashroob, lazeez phal aur sabziya, baraf baari aur bohut kuch, tou dosri taraf bohut say log sardiyoon say khasay pareshan nazar atay hain. Mausam ki shiddat kisi na kisi soorat mein her kisi ko apni lapait mein lay he laity hai. Is ka yeh hargiz matlab nahi kay sadeed garmi aur sardi kay mausam mein insaan ko kisi dosray mulk ka rukh ker laina chahiye, balkay sirf zara si ehtiayat aur tawajjo say hum bohut say masaail say bach saktay hain. Yeh chooti si tehreer isi liye tarteeb di gai hai kay aap sardi kay mausam mein masaail say dochaar na hoon aur iss khobsoorat mausam mein bherpoor tareeqay say lutf andooz ho sakain. Zail mein ap kay liye kuch khas aur azmooda totkay darj kiye ja rahay hain jin ki madad say ap aur apkay bachay sardi ki shiddat say bach saktay hain:

Hontoon kay liye totkay:
  • Hoontoon ki khushki door kernay k liye rozana raat ko glycerin lagaya karain.
  • Sardi ki wajha say hont phat jain tou iss kay liye tarbooz kay kachay beej lay ker inn ko paani mila ker pess lain. Rozana raat ko inka laip kernay say kuch he dinoon mein phatay hont theek ho jain gay. Iskay ilawa rozana anaar khanay say bhi hont phantnay ka masla hul ho jata hai.
Baalon kay liye totkay:
  • Sard mausam mein akser log khushki ki shikayat kertay hain. Iss kay liye nihayat aazmooda totka hai aik tablespoon dahi, aik tablespoon sarsoon ka tail, aik anda aur aik tablespoon shakker mila lain aur sir per laga lain. 2 ghanatay ka baad normal paani say sir dho lain aur shampoo ker lain. Musalsal istemaal say khsuhki khatum ho jaye gi.
  • Sardi mein baal gerna aik aam si baat hai. Akser mard aur khawateen baaloon kay girnay ki shikayat kertay nazar atay hain iss kay liye kalonji ka tail bohut mufeed samjha jata hai. Iska istemaal karain  aur girtay baaloon say nijaat pain.
Paaon ki khoobsoorti aur phati airhiyoon kay liye totkay:
  • Sardi mein asker log khas ker khawateen phati airhiyoon ki wajha say pareshaan nazar ati hain. Is ka asaam sa hul yeh hai k raat ko sonay say pehlay neem garam paani mein paaon bhigo lain aur kuch dair k baad towel say khushk ker lain. Phir glycerin lagain ayr mozay pehan ker so jain. Kuc he din mein phati airiyaan theek ho jain gi.
  • Shaljum(turnip) ko chilka utaar ker ubaal lain aur mash ker k neem garam paani mein daal ker paoon bhigo ker rakahin. Kuch dair k baad achi terha say paaon ki safaai ker lain aur phir saaf paani say paaon dho lain. Khush kernay k baad petroleum  jelly lagain aur mozay pehan ker rakhain. Na sirf phati airhiyaan theek hoon gi balkay paon bhi khoobsoorat ho jain gay.
Jild ki hifazat kay totkay:
  • Sardiyoon mein who cold cream aur lotion ka istemaal karain jo jild ko naram o mulaaim aur ziada dair tuk chikna rakhnay ki salahiyat rakhatay hoon. Market mein aisay bohut say lotion aur cold creams mil jati hain jo sardi kay mausam mein jild ki name ko barqaraar rakhnay mein madad kerti hain.
  • Moisturizer ka istemaal na sirf chehray aur haath kay liye zaroori hai balkay body lotion aur moisturizer ka istemaal bhi nihayat mufeed sabit hota hai. Nahanay k baad poray jism per moisturizing lotion ka istemaal poray jism ko khushki say mehfooz rakhta hai. Iss kay ilawa, khushi ki soorat mein jild ki rangat kharab honay say bhi bachata hai.
  • Shower bohut ziada garam paani say na lain. Aur kum time kay liye lain. Ziada dair tuk garam paani ka istemaal jild ko khush ker daita hai.
  • Paani ziada peenay ki koshish karain. Iss say bhi jild khushk nahi hoti aur jism ki zaroorat poori hoti hai.
  • Khushk jild kay liye doodh ya balaai say chehray per laip ker lain aur 15,20 minute kay baad saaf paani say chehra dho lain. iss say apki jild ki khushki door ho jaye gi.
  • Anday ki sufaidi lain aura chi terha beat ker lain. iss ko chehray per lain aur kuch dair baad dho lain.  Iss say na sirf jild narm rahay gi balkay sard mausam mein khushk hawa say bhi bachao mein madad karay gi.
  • Daliya, shehed aur anday ki zardi ko mix karain aur 20 min tuk chehray per laga rehnay dain. Phir need garam paani say dho lain. Apki jild chamakdaar naram aur khoobsoorat ho jaye gi.
  • Jild ki narami kay liye kailay ko mash ker lain aur cream kay sath mila ker chehray per lagain. 30 minute kay baad dho lain. Chehra naram aur mulaim ho jaye ga.
  • Baisan, leemoon ka rus, badaam ka paste aur kachay doodh ko mila ker paste bnaain aur chehray per laga dain. 20 minute kay baad dho lain. Yad rahay neem garam paani ka istemaal karain . Apki jild naram ho jaye ji aur rangat bhi behter ho gi.
Khansi, nazla Zukaam kay totkay:
  • Sardi ka tohfa maalta, iss mein vitamin C maujood hota hai. Nazla zukaam k liye iskay juice ka istemal nihayat mufeed hai.
  • Leemoon ka rus neem garam paani mein mila ker peenay say nazla zukaam mein afaqa hota hai.
  • Garam mashroob jaisay kay coffee, chaiye, soup, qehwa ka istemaal bhi bohat acha aur azmooda amal hai.
  • Aik glass doodh mein haldi mila ker peenay say bhi nazla zukam mein afaqa hota hai.
  • Adrak aur shehed kay istemaal say bhi nazla kum hota hai.
  • Shehed mein ajwain bhoon ker mila lain aur raat sonay say pehlay aik teaspoon kha lain. khaansi mein bohut faida ho ga.
  • Adrak ki chaye peenay say bhi nazla mein araam milta hai.
  • Balm say seenay ki maalish aur steam lainay say bhi nazla zukaam mein faida hota hai.
  • Munisb neend aur araam kernay say bhi nazla zukaam behter ho jata hai.
Sard mausam mein koi bhi masla dochaar ho, in aazmooda totkoon ka istemaal ker ky aap faida hasil ker saktay hain aur sard mausam ka bherpoor andaaz mein lutf lay saktay hain.

Designer.

0 comments:

Post a Comment