Monday 7 December 2015

Stress/ Zehni Pareshani Ke Totkay/ Upay aur Top 10 Tips


By on 10:04:00

Zindagi aik musalsal kashmakash ka naam hai jis main har roaz nae challenges ka samna karna parta hai. Baaz oqat yeh dubao itna barh jata hai k zehni preshani ya stress ka mojib ban jata hai. Stress se mukamal tour par tou nijat mumkin nahin, lakin bohat c aisee tips aur totkay hain jin per amal kar k stress yani zehni pareshani ko kam keya ja sakta hai.

Stress/ Zehni Pareshani Ke Totkay/ Upay aur Top 10 Tips:
1. Sab se pehle unn wajoohat ka pata chalaen jo stress ya zehni pareshani ka baes ban rahi hon. Unn main se jin baton se bacha ja sakta ho unn se bachain.
2. Ghair zaroori tour per apne aap ko masroof na karen. Balke jin ghair zaroori kamon se bacha ja sakta ho unn se bachain
3. Jo cheezen ghair zaroori hon aur aap ko zehni tour per thaka deti hon unn se filfor nijat hasil karen
4. Apni life ko sadgi se guzarain aur ghair zaroori khawahishat se bachain.
5. Doosron ki madad karen – doosron se milnain se bhi stress kam hoti hai
6. Rozana 30 mintues ki walk ya halki exercise karen.
7. Apni eating habits ka khas kheyal rakhen aur phal aur sabziyon ka istemal ziada karen.
8. Jo asaaniyan apko hasil hain un ka shukar ada karen aur be-ja tour pe doosron se mowazna na karen.
9. Neend poori lain - Subah jaldi uthain aur taza hawa main ghere saans lain.
10. Family ko ehmiyyat den aur family ke sath ziada time guzarain.
Inn stress ya zehni pareshani kam karne wale totkay ya tips main se jis per bhi amal karen mustakil mizaji se karen kiun k mustakil mizaji k bohat achay nataej nikalte hain.
Designer.

0 comments:

Post a Comment