Monday 7 December 2015

TIB E RAZA a.s Best Cure For good Health


By on 12:31:00

Aik shaks Imam Ali Raza AS k paas aya aur kaha jab mein bahar jata hun to dusrey muqamat ka paani meri sehet pe bura asar krta hai.Imam ne mashwara dya: Apni jaga ka paani aik burtan men saath le jao aur usey khali na hone do. Jb is men thora sa paani baqi bach jaey to doosri jaga ka paani is men mila lya jaey. Is tarah tmhari jaga k paani k asraat akhir waqt tk baqi rahen gey chahey is men 50 mukhtalif muqamat ka paani kyon na milaya jaey
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 10
Jo chahta hai k us k naakhun na phaten aur bud soorat na hon isey cahiye k siwaey jumiraat k aur kisi din naakhun na katwaey.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 24
Jo shaks chahey k us k kaan mein kabhi dard na ho usey chahiye k sotey waqt kaan mein rooee rakh liya karey
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 24
Jo shaks chahey k usey sardi mein zukam na ho wo 3 chamchey shehed rozana pi liya karey. Nargis k phoolon ko soonghney se bhi zukam nahi hoga.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 24
Jo shaks chahey k is ka badan halka phulka rahey aur ziada motapa na charhey aur buht gosht na barhey isey chahiye k raat ka khana kam kardey
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 24
Jo shaks chahey k usey naaf ki shikayat na ho isey chahiye k jab sir men tail daaley naaf men bhi laga lya karey
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 24
Jis shaks ko ye manzoor ho k us k kaan na bahen usey chahiye k jab koi meethi cheez khaey sirkey se ghararey kar lya karey
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 25
Jo shks yarqan se bachna chahey usey chahiye k garmi k mosam mein jab kisi makan ka darwaza kholey to forun is mein daakhil na ho aur sardi k mosam mein jab kisi bund makan ka darwaza khuley to forun bahar na nikley.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 25
jo shaks ye chahey k us k daant kharab na hon isey chahiye k meethi cheez khaney se pehley roti ka rookha tukra kha lya karey
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 25
Yaad rakhna k maidey mein aik waqt mein andey aur machli jama na hon. Kyon k jab insan mein in ka ijtama hota hai to qolanj, bawaseer aur daarh ka dard paida hota hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 26
Ziada andey khaney sey mun par chayan paida ho jaati hain.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 26
Jin gosht aur machlion mein namak laga kar sukha diya jata hai in ka khana khujli paida karta hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 26
Bharey pait hamam jaaney se qolanj paida hota hai aur Machli kha kar thandey paani se ghusal karney se faalij paida hota hai
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 27
Doraan-e-ayaam-e-haiz aurat se jama (sex) karney se aulaad mein marz e jazaam(korh) paida hota hai. Jamaa k forun baad peeshaab na karney se pathri paida hojati hai. Jama k baad ghusal kiay baghair doosri martaba jama karney se aulaad main junoon paida hojata hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 27
Neem barasht (half fried or boiled) andey khaaney se dama paida hota hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 27
Shikaari chopaayon (animal having 4 legs) ya gaaey (cow) ka gosht ziada khaaney se aqal mein fatoor paida hota hai, zehen bhadda ho jaata hai aur bhool paida ho jaati hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 27
Hazrat Ali AS ne farmaya: Mujhey Rasul Allah (S.A.W) ne bataya hai k “Aik din aik martaba khana khaya karo aur doosrey din do martaba (2 din mein 3 martaba) aur khana is andaaz se ho k na kum na ziada aur kuch bhook baaqi rehney par chor dena chahiye.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 29
Munasib hai k jab jama (sex) ka irada ho to raat k aakhri hisey ko karey k is se jisam ki bhi islaah hoti hai aur aulaad paida honey ki ziada umeed hai aur jo aulaad Khuda ko deni manzoor hai wo aqeel bhi hogi. Awal shab jama krne se qolanj, faalij, laqwa aur pathri paida honey ka qawi andesha hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 32
Jis shaks ko nahaney mein dard e sar hota hai wo nahaney se pehley 5 ghoont garam paani k pi ley to inshallah dard e sar nahi hoga.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 32
Jo shaks khaalis shehed ko soonghey ga usey pyaas forun maaloom hogi. Agar soonghney se shidat ki garmi maloom ho to wo qisam zehr e Qaatil hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 41
Quran parhney, shehed khaaney aur doodh peeney sey se haafiza (memory) barhta hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 44
Injeer khana dard e qolanj (collic) men buhat mufeed hai. Is se mun ki gandagi jaati rehti hai, ganjey badan par baal paida ho jaatey hen, tarah tarah k dard jaatey rehtey hen aur hadiyan (bones) mazbut ho jaati hen.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 45
Paichish (loose motion) k liay Akhrot bhoon kar cheel kar khao.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 45
4 cheezein dil ko sakoon deti hen
1.Shehed khana
2.Khushboo lagana
3.Sawari karna
4.Sabza (greenery) dekhna
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 45
Khana thanda karkey aur pyaley k kinarey se khana chahiye.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 46
Tool-e-umer k liay acha khana khana, achi jooti pehnna, Qarz se bachna aur kasrat-e-jama se parhez karna mufeed hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 46
Jab tak mumkin ho tabeeb se rujoo na karo kyunkey jism k ilaaj ki misaal makaan ki taameer jaisi hai. Jahan is ko chera aur tool pakra.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 46
Khaney ki ibtada namak se karni chahiye kyunkey is se 70 beemaarion se hifazat hoti hai jin men jazaam bhi hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 46
Masoor 70 Anbiaa (prophets) ki pasandeeda khoraak hai. Is se dil narm hota hai aur aansoo bantey hen.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 47
Mard ko khushbu chorni munasib nahi hai. Behtar to ye hai k har roz lagaey. Agr is par qudrat na rakhta ho to aik din k baad lagaey. Agr ye bhi mumkin na ho to juma k din zaroor lagaey.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 47
Yaqoot-e-zard ki anghooti jo shaks pehney ga wo kabhi faqeer na hoga. Ye gham ko door karta hai, dushman maghloob rehtey hen aur beemari se hifazat karta hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 47
Jo koi jo ki roti khaega us k pait men dard baaqi nahi reh sakta.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 49
Jo koi sotey waqt ayatul kursi parh ley wo faalij se mehfuz rahey ga.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 47
Jis shaks ko sar men itni sardi lagti ho k mehsoos ho k hawa lagey gi to ghash aa jaega wo khaney k baad naak men roghan-e-anbar aur roghan-e-chanbeli tapka lya karey.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 47
Jumay k din naakhun kaatney se ghurbat aur faqeeri door hoti hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 51
Jis chashmey ka rukh mashriq ki simt hoga is ka paani nahayat saaf aur sehat k liay intehai faida mund hoga.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 51
Agr peeshab na teherta ho aur barabar qatra aata ho to thora sa asfand (kala dana) le kar 6 martaba thandey paani se aur 1 martaba garam paani se dho daalo phir saaey men sukha kar roghan-e-gul men churb kar k safoof bana kar phaank lo.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 52
Khuda se rozi sadqa de kar maango. Khuda tarsi aur parosion k saath acha salook karney se maal men ziaadti hoti hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 53
Baalon ki sufeedi ka sar k agley hisey se shru hona salamti aur iqbal-e-bulandi ki daleel hai aur ruksaaron, daarhi k atraaf se shru hona sakhawat ki alaamat hai aur gaisuon se shuru hona shujaat ka nishaan hai aur guddi se shuru hona nahoosat hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 54
Insan k jism men aik rug hai jis ka naam isha hai. Jb koi raat ko khana nahi khata aur paani nahi peeta to ye rag bud dua karti hai aur subah tak yehi kehti rehti hai k Khuda tujhey sair o sairaab na karey k tu ne mujhey bhooka pyasa rakha hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 54
Agar shehad ko ghiza ka musatqil hisa bana len to jigar ki kisi takleef ki nobat nahi aaegi.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 54
Khoon ki safai aur naey khoon ki paidaaish k liay naashtey men shehad k istamaal ko maamool bana len.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 54
Khaney k baad taqreebun aik chota chamcha (kitab men di gae miqdaar k mutabiq aaj kal ka aik chamcha) shehad khalis rozana istemaal karney se joron ka dard door ho jata hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 54
Subah k waqt aik pyali garam pani men aik chamcha (chota) shehad ghol kar nihaar mun peeney se qabz door hojata hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 54
Raat ko surma lagana munafey ka aur din men lagana zeenat ka sabab hai
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 55
Kaala(black) joota pehanney sey beenaai(eyesight) kamzor ho jaati hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 55
Agar barkat chahtey ho to khana khaney k liay jab betho to haath zaroor dholo chahey pehley se saaf hi kyon na hon.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 55
Ziada kanghi karney se balgham door hota hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 55
Dastarkhwaan par jo raizay(zarrey) girtey hen in ko ikhata karkey khaney se dard-e-kamar ko aaraam ho jata hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 55
Sattoo 70 qisam ki beemarion ko door karta hai. Maiday ko quwat daita hai, pyas ki ziadti ko door karta hai aur maiday ko saaf karta hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 55
Jab tak tabiat marz ko bardasht kar sakey dawa se bacho. Allah jab tak marz ka muqarara waqt pura nahi hota, dawa ko taaseer karney ki mumaniat farma daita hai. Jab wo waqt pura ho jata hai dawa ko asar ki ijazat mil jati hai aur isi dawa se aaraam aa jata hai. Haan ye ho sakta hai k dua, khairaat ya aur naik kaamon k sabab Khuda is waqt-e-muqarara men kami kardey aur dawa ko taaseer ki ijazat mil jaey.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 56
Parhaiz aur faqa ki hud 14 din hai aur parhaiz se ye muraad kabhi nahi hai k jis cheez se perhaiz ho wo mutliqan na khaae jaey balkey ye matlab hai k kum kum khai jaey.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 56
Jab tandurusti ghalba paati hai to beemaar ko hosh aata hai aur usey bhook lagti hai. Is liay munasib hai k jis waqt beemar khana maangey usey de do shayad is k liay is men shifa ho.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 56
Quran-e-Majeed men har beemari k liay shifa hai. Munasib hai k tum apney beemaron ka ilaaj sadqey se karo aur hasool-e-shifa k liay Quran Majeed parho kyon k jis shaks ko Quran Majeed se shifa na ho is ko aur kisi cheez se shifa nahi ho sakti.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 57
Mosam-e-sarma men tail ki maalish se riyahi dard (gas ki beemari) dafa hoti hai.
Tib e imam Ali Raza AS
Pg 58
Jis shks ki beenaai (eyesight) zaeef ho gae ho isey laazim hai k sotey waqt 4 silayan daahni (right) aur 3 silayan baayen (left) aankh men surmey ki lagaya karey
Tib e imam Ali Raza A.S.
Pg 59
Is josh diay huay paani se jisey 7 martaba josh diya gya ho aur har martaba bartan badal gya ho peeney sey bukhaar jaata rehta hai aur paaon aur pindlion mein quwwat aa jaati hai.
Tib e imam Ali Raza A.S.
Pg 59
Apney beemaron ko choqandar k patey (leave) khilao k in men shifa hi shifa hai. In paton ko kha kar beemar chain se sota hai magar choqandar ki jar (roots) men nuqsan hai.
Tib e imam Ali Raza A.S.
Pg 59
Sattoo behtareen khoraak hai. Bhookey ka is se pait bharta hai aur pait bharey ka khana hazam hota hai.
Tib e imam Ali Raza A.S.
Pg 59
Kaasni koot koot kar aik kaghaz par phela do aur is par roghan-e-banafsha chirak kar paishani par laga do. Is se Bukhar aur dard-e-sar donon door ho jaen gey.
Tib e imam Ali Raza A.S.
Pg 60
Aolaad ki kami ho to istaghfaar parha karo aur murgi ka anda pyaaz k saath khaya karo.
Tib e imam Ali Raza A.S.
Pg 60
Nihaar mun Kharbooza khaney se faalij paida hota hai.
Tib e imam Ali Raza A.S.
Pg 60
Injeer mun ki badboo door karta hai, hadyon ko mazboot karta hai, baal barhata hai, mukhtalif qisam k dardon ko door karta hai. Injeer khaney k baad kisi doosri dawa ki zaroorat nahi rehti.
Tib e imam Ali Raza A.S.
Pg 61
Jis shaks ka nutfa mutaghayar ho jaey yaani aolaad na hoti ho, is ko chahiye k doodh men shehad mila kar piya karey.
Tib e imam Ali Raza A.S.
Pg 61
Dimaghi kaam karney walon ko doodh ka istemaal ziada karna chahiye. Anaaj kam miqdaar men khaya jaey aur machli, anda, gosht, tarkaariyan aaur phal waghera ziada.
Tib e imam Ali Raza A.S.
Pg 71
Har tandurust aadmi haftey men aik baar 24 ghantey ka roza rakhey. Is se maiday ko aaraam milta hai aur is par ziada bojh nahi parta.
Tib e imam Ali Raza A.S.
Pg 71
Jo aadmi sirf sabzion aur anaaj pr rehtey hen aur saada zindagi basar krtey hen in k maidey jald kharab nahi hotey aur isi liay in ki sehat buht achi rehti hai. Jo anaaj ya sabzi jis moasam men paida hoti hai zaroor khao kyon k Qudrat ne aab o hawa k mutabiq wohi cheez is jaga k rehney waley insanon k liay kisi hikmat se paida ki hai.aik waqt men mukhtalif qisam k khaney na khao is se haazmey men bara farq prta hai.
Tib e imam Ali Raza A.S.
Pg 72
Dur-e-najaf
Imam Jaffer Sadiq AS ne farmaya:“ye nageena dard-e-chashm men har momin aur momina k liay mufeed hai
Sirf aik rasta
Safha 363
Dihana-e-farang (angar-e-farngi ya Kidney stone)
Imam Jaffer Sadiq AS ne farmaya:“ aankh ki patli men sufaidi (motia) aa janey pr is pathar ko intehai bareek pees kr surmey k tor pr istemaal krney se marz jata rehta hai”
Sirf aik rasta
Safha 363
Imam Sadiq AS ne farmaya: Mardana kamzori k liay sufaid pyaz (onion) le kr kaato. Usey zaitoon k tail men talo, jub surkh (red) ho jaey to anda le kr pyaley men daal kr is par thora sa namak chirak do. Phir usey pyaz aur zaitoon k tail men daal kar mila do aur tal lo. Wo rozana subah nihar mun kha lya karo.
Sirf aik rasta
Safha 80
Imam Sadiq AS ne farmaya: kaan behney ya peep aur khoon aaney par buhat purana paneer thora sa lo. Usey baareek pees kar aurat k doodh men mila lo. Phir aag par neem garam kar k is k chund qatrey kaan men tapka lo.
Sirf aik rasta
Safha 81
Hazrat Muhammad S.A.W ne farmaya: kamaat (khumbi ya mushroom) khaney se bisarat (beenai) wapis aa jati hai. Is ka pani bhi aankhon k liay shifa hai
Sirf aik rasta
Safha 81
Imam Ali naqi AS ne farmaya: khatarnak phoron k liay bheron ki mengnian jo un k paon k neechey aa kar kuchal gae hon, arq-e-gulab men mila kar laip bana lo aur phorey par laga do
Sirf aik rasta
Safha 82
Imam jaffar Sadiq AS ne farmaya: (jazam, kohar,burs ya phulbairi k liay) Choqandar , gaey (cow) k gosht men mila kar khaney se sufaid daagh jaatey rehtey hen ya mareez jub hamam jaey to noorey (yoonani powder) men mehndi mila kar daagh waley muqamat pr mal ley daagh hut jaengey.
Sirf aik rasta
Safha 83
Imam Moosa Kazim AS ne farmaya: Har shaks k jism men jazaam ki rag mojud hai. is ko shalgham khaney se tehleel kia ja sakta hai.
Sirf aik rasta
Safha 83
Imam Moosa Kazim AS ne farmaya: Taa’oon (plague) men saib (apple) khao aaraam aa jaega.
Sirf aik rasta
Safha 83
Imam Jaffer Sadiq AS ne farmaya: Khoon k ghalbey (high blood pressure) men sattoo piyo kyon k ye khoon k haijaan ko kam karta hai
Sirf aik rasta
Safha83
Masumeen AS ki kai hadeeson men aaya hai k jo shaks ye chahey k us ka ghusa kam ho jaey wo teetar ka gosht khaey
Sirf aik rasta
Safha 83
Imam Moosa Kazim AS ne farmya: Chakore ka gosht khaney se pindlian mazboot ho jaati hen aur bukhar door ho jaata hai
Sirf aik rasta
Safha 83
Designer.

0 comments:

Post a Comment