Tuesday 8 December 2015

Cold and Flu (Nazla Zukam)


By on 12:13:00

Cold and Flu (Nazla Zukam)

Cold and Flu (Nazla zukam u) is a virus infection. It is common disease in human. Here are some natural tips and home remedies that you can use as soon as you feel better. So in this page we are going to discus about nazla zukam ka ilaj, cold and flu, treatment of nazla, cold and flu prevention, home remedies for nazla zukam, cold and flu symptoms, nazla zukam ka desi ilaj in Urdu and Hindi.

 
 

 

Nazla Zukam ka Ilaj (Treatment of Cold and Flu):

Nazla zukam (cold and flu) virus ki aik infection se janam leta hai. yeh aik achoti marz hai. Aik fard se dosre fard mein muntaqil hota hai. Es marz mein chenkein aati hein. Naak se pani behta hai. Sir mein dard hota hai. khansi, aeza shakni aur kabhi kabhi halka bukhar bhi hota hai. Naak mein se patli ratobat kharij hone lagti hai. Mareez apne ap ko bimar mehsos karta hai. Darj-a-zel nuskha es marz ke liye mufeed hai.

1. Tips Number One:

Amrood ke taza pattey (leaf): 1 gram
Tarkeeb Tayari (Procedure):
180 mili liter pani mein amrood ke taza paton ko josh de kar ya boiled kar ke chhan lein. Aur es pani ko ksi bottle mein band kar ke rakh dein.
Tarkeeb Istamla (uses):
Nazla zukam (cold and flu) ki sorat mein es pani ka kuch maqdar din mein 2 baar lein marz mein afaqa hoga.

2. Tips Number Two:

Gul banafsha: 6 gram
Tarkeeb Tayari (Procedure):
120 mili liter pani mein gul banafsha ko josh (boil) de kar chan lein ab es pani ko ksi saf bottle mein rakh lein.
Tarkeeb Istamal:Jab ap ko nazla zukam (cold and flu) ka marz la-haq ho tou ap esy khali pait din mein 2 baar lein. Nazla zukam ke marz mein afaqa hoga.
3. Tips Number Three:
Gehon ki bhosi: 6 gram
Kali mirch: 5 adad
Namak: 1 gram
Tarkeeb Tayari (Procedure):
120 mili liter pani mein in tinon chezon ko ubal kar chhan lein aur es pani ko ksi saf bottle mein rakh lein.
Tarkeeb Istamal (uses):
Nazla zukam (cold and flu) ki sorat mein es pani ka kuch maqdar din mein 2 bar piye, marz jata rahe ga.
4. Tips Number Four:
Dar-chini: 3 gram
Tarkeeb Tayari (Procedure):
Dar-chini ko 120 mili liter pani mein josh de kar chhan lein ab es pani mein hasb-e-zarorat chini mila kar mitha kar lien, ab es amezy ko aik saaf bottle mein rakh lein.
Tarkeeb Istamal (uses):
Es amezy ko tabeyat kharab (nazla zukam “cold and flu”) hone ki sorat mein din mein do baar piye. Nazla zukam se nijat mil jae gi.
Warning : This information is just for information and knowledge of medical care. Please contact your doctor for treatmen
Designer.

1 comments: