Thursday 17 December 2015

What Is Hepatitis..? (Hepatitis Kia Hai) in Urdu and English and Hindi


By on 11:07:00

                                                            What Is Hepatitis..?
                                                             (Hepatitis Kia Hai)

Hepatitis is commonly caused due to viral infection, it is a disease which characterized by inflammation of liver or due to presence of inflammatory cell in tissue. Infectious and non-infectious both are the causes of hepatitis. There are five main types of hepatitis identified by alphabets A, B, C, D and E. hepatitis A and E are infectious while B, C and D are genetically. In this page you will find and read What Is Hepatitis in Urdu Hindi and Roman urdu.


Tibi astalah me hepatitis aesi kisi bhi sorat ko kehte hain jis me jigar pr warm ajae ya sojish ho ya jigar ke khalye khatam hone lage. Khalyon ke marne ya khatam hone ke lye necriosis ki astalah istamal ki jati hai jis ka matlab ya mafhom kisi azo ya tissue ke sare ya kuch khalyon ke be jan ho jana hai.

Hepatitis ki wajuhat me mukhtalif qisim ke infections, virus, mukhtalif isim ki adoyat ( jese cholorpfarm) zehrile made ya gizai zehar ( maslan zehrili mashromes ), metabolism ki kharabiyan, hamal ya wilsorls disease (coper metabolism ka paidaishi naqs), frahimi khone me tatil ya kami numayan hain.
Wajuhat


Jigar ki kharabi ya hepatitis ki digar wajuhat me mukhtalif aqsam ke zehar, zehar alod gizaen, adoyat, metabolism ki kharabi, doran hamal jigar me chiknai jama ho (fatty liver), kisi bhi waja se jigar ko khone ki farahimi me rukawat ya kami shamil hain.
Viral Hepatitis:


(1) Hepatitis virus A (hepatitis A )

(2) Hepatitis virus B (hepatitis B )

(3) Hepatitis virus C (hepatitis C)

(4) Hepatitis virus D (hepatitis D)

Hepatitis ki boht se wajuhat hain lekin un sab me se sab se zyada aam waja virus hain. Virus hepatitis A, B, C S E ka sabab banti hain. Viruses ki digar aqsam A, B, C, D or E 90% viral hepatitis ka sabab banti hain. Jabke non A, non B, non C, non e virus cytomegalo virus, Epstein barr virus, herpes simplex virus or yellow fever virus 2 % hepatitis ka sabab bante hain.
Metabolic:

Dorane hamal chiknai ka jigar me jama hona (fatty liver, wilson’s disease, coper metabolism ka paidaishi naqs ki waja se jigar ko khon ki farahimi me rukawat ya kami shamil hai.
Medicine:

Zehrile made jese choloroform ya gizai zehar maslan zehrili mashromes perasitamole
Chronic Diseases:
Zeyabitis or dil ke amraz (cardiac cirrhosis )


Auto Immune Diseases:

Alamat :

Thakan, bukhar, sardi mehsos hona, bhok ki kami, matli, dairia, sar dard, pet ke opri hise me dard or ankhon ki safedi ka zard hona.

Viral infection ki alamat me ankhon ki rangat me tabdili chand din se le kar 15 din me bhi ho sakti hai. is sorat me kuch log jild me kharish mehsos karte hain. Urine ka rang badal jata hai.


Nishaniyan:

Doctor muaine me jigar ubhara hua mehsos karta hai or is pr halka sa dabao bhi dard ka ahsas paida karta hai. baz soroton me tili (spleen) ya gale ki lymph nodes barhi hui ho sakti hai intehai kam soroton me joron ka dard or kharish bhi ho sakti hai. hepatitis me tili ka mutasir hona anhoni bat nahi q k tili difai nizam, blood storage or blood cells ki nashonuma samet kai kamon me mawon hoti hao jabke lymph nodes jisim ke mukhtalif aza ne nikalne wala lymph filter karne ke elawa infections ke khilaf jang karte hain.

Hepatitis Kis Tarha Parwan Charhta Hai?

Hepatitis virus ka shikar hone wale logon ko hamla ki shidat me mumkin hai bimar hone ka amomi ahsas ho lekin wo yarqan ka shikar na ho. Boht se logon ko to bimari ka mamoli ahsas bhi nahi hota hai aese logon ki bimari ki tasdiq labortory tests se hi ho sakti hai jo aam tor pr nahi hoti hai. virus ke shadid hamle ki sorat me yarqan shaded ho jata hai is sorat me urine ka rang batadrij ghehra hone lagta hai jabke fazla halka ho jata hai jigar barh jata hai. viral hamle ke bad sehat yabi lazmi hai. sehat yabi ki ek am or pehli alamat bhok lagna or matli qe ki kefiyat khatam hona hai jon jon marz ke asarat kam hote hain urine ki rangat lot ati hai jabke jigar bhi apni asal jasamat ikhteyar kar leta hai. shaded viral hepatitis ki sorat me sehat 3 se 6 hafte me ho sakti hai mumkin hai kuch log is ke bad kai hafte tak shaded khujli ya kharish mehsos Karen.

Ye haqaiq apni jaga hepatitis me mubtala hone walon ki ek bari tadad mukhtalif complexion me mubtala ho jate hain.


Shadid Qisim Ka Hepatitis (Acute Hepatitis )

Ye astalah aese logon ke lye istamal ki jati hai jo kuch arsa qabal sehat mand nazar ate the magar hal hi me hepatitis (jigar ke infection) ka shikar hue hon. Aam tor pr hepatitis ki astalah shadid viral hepatitis (HAV) ke lye istamal ki jati hai. is ka sabab hepatotropic virus bante hain. Is ke elawa alchohal or baz adoyat bhi shadid hepatitis ka sabab banti hai is sorat me bimari tezi se giraft karti hai. is ka dorania 6 mah tak ho sakta hai.


Wajuhat:

Cytomegalo virus, yellow fever, herpes simplex

Chronic Hepatitis:
(Purani Or Tasalsul Ke Sath)

Is sorat me jigar ki kharabi purani or tasalsul ke sath hoti hai. boht si soroton me aese marizon me marz ki alamat wazah tor pr samne nahi ati hain or wo sehat mand nazar ate hain khud ko behtar mehsos karte hain. Boht si soroton me is noh ki kharabi mamoli se hat kar tests ke zarye hi samne ati hai.

Bunyadi tor pr viral hepatitis hi insane masher ke lye sangeen khatra bana hua hai.

Warning: The site just gives you general information about diseses and health care, for more features and for treatments please confer with your doctor.
Designer.

0 comments:

Post a Comment